kuch men bhi ro' men behta raha yoonhi
Kuch dhara waqt ka mujhey kaat'ta gaya
thehar thehar key chaltay zara, dono sath rehtay
magar woh sath jeetay jee Maarta gaya
badla Jo kabhi waqt to phir yaad karain gay
kaisay imtehan mohabbat ka haarta gaya
men apni jagah khush, hay woh bhi pur sukoon
yeh hi aik dilasa, Ishq ko dhaanpta gaya
milnay ki ki koshish bht mudat baad bhi
ghanti pay hath, us key ghar ki Kanpta gaya
badal dala tha us nay bhi apna makan aakhir
milnay ka Jo bacha tha, aakhri raasta gaya
ab hay aik adhoori si Bay chaini bhi, tasali bhi
bigaarnay ko baat tha Jo aik raabta gaya
By Aakif Hassan

No comments:
Post a Comment