Showing posts with label good old days. Show all posts
Showing posts with label good old days. Show all posts

Wednesday, August 29, 2018

Mohabbat kyun nahi jati!!!

mohabbat kyun nahi jati, meray nadaan sey dil sey
yeh ankhen ab bhi tarsey hen, bus ik deedar ko us key

bhula key hazaron saal; tanha jee liya hoon men
phir bhi yeh kaisi ajab rafaqat hey ab talak us sey

nahi chahta mohabbat ko phir sey palna men ab
janay phir bhi hay ik masoom si shikayat us sey

mujhey meri tanhayon key sath rehnay do
ajab si ik musafat hey, mila dey aaj tu us sey

mohabbat hey bari qatil, bht takleef deti hey
mohabbat sey mohabbat hey, ajab anjan si us sey

mohabbat kyun nahi jati, meray nadaan sey dil sey
yeh ankhen ab bhi tarsey hen, bus ik deedar ko us key

-Aakif Hassan

#love #nolove #cruellove

Wednesday, December 4, 2013

December aur us key sard hath....



 
December ki thandi Raton men akser
Us key sard hath bara yaad Aatay hen

Lakh bhulaun un lamhon ko barson
Her saal issi mosam men loat Aatay hen

Yakh hawa key woh taiz thapairay
Meray galon pay ab bhi saaz bajatay hen

Woh bhi kerta hoga yaad her barish key sath mujhey
Ya Badal us key ghar say garaj key guzar jatay hen

Sath dekhay humain dunya ko Ik arsa hua
Mohallay wallay humaray qisay ab bhi sunatay hen

Dastaan Yoon to Bari ghamgeen hey judai ki apni
Zamanay walay kahani Bari pur lutf batatey hen

Ku aa jata hay bar bar yeh December!!!
Woh beetay lamhay humain her saal rulatay hen

Ja aey sard maheenay, ab tujh say khaffa hen hum
Siskiyan bhar bhar key Raat bhar khud ko sulatay hen

Chalo tham lo ab bewafa tum garm hath meray
Jhoota hi sahi , Kuch dair tum ko behlatay hen

Kahani mukhtasir her mosam ki buss itni hi hay
Juda ho key bhi hum Kuch dair ko pass Aatay hen

December ki thandi raton men akser
Us key sard hath bara yaad Aatay hen.. bara yaad Aatay hen
 

Thursday, January 10, 2013

Doston ki Yaad









kyun yaad dasht sath deti hey itna mera
guzrey huey lamhon ko bhula nahi pata

mana key bht kuch ghalat tha dosti men meri
magar doston ko apnay bura nahi pata

beet gaye hen ab to kayee saal bichrey
phir bhi haseen palon ko mita nahi pata

shayad nikal chuka hoon un key dil sey men kab ka
kyun apney dil sey un ko chura nahi pata

ab to kawishon sey bhi koi umeed nahi hassan
phir bhi seenay sey yadon ko juda nahi pata