Thursday, January 2, 2020

kahani pichlay Saal ki, meray dost

Kahani pichlay Saal ki :(

#2019

Janay yeh kaisa sitam hua
Kaisay hum sab pay zulm hua

1 Saal key din thay  guzar gaye
Lekin kuch manzar badal gaye

Kuch aisi hum say khata hui
 dost hi mujh say mukar gaye 😭

Mana key men masroof sa tha
Kuch sehat liye mashghool sa tha

Lekin yeh kub men jamid hua
Kuch apnon say men door sa tha? 

Aisa bhi nahi key chor diya
Phir bhi tum nay moon mor liya

Sab kaisay hanstay gatay thay
Sab jagah hi sath men jatay thay

Kub tum ko yeh mehsoos hua
Kub Dil apna yoon door hua

Mana key tum takleef men thay
Mana key hum nazdeek na thay

Kuch bht bari si batain theen
Kuch anjani si ratain theen

Aik khamoshi ka dor raha
Doori ka bht phir zor raha

Kuch un key gilay bhi jaiz hen
Kuch ab bhi fakhar say faiz hen

Lekin yeh Kehna theek nahi
Key hum ko koi tofeeq nahi

Hum aaj bhi Dil key saaf hi hen
Kerna khuda ka, key pass hi hen

Phir kyun sab say door rahain
Kyun apnon say moon mor rahain

Nahi aik khata key matlub yeh
Key saray sahih bhi door rahain

Phir kyun ab sab khamosh say hen
Kyun khud hi khud madhosh say hen

Mana key bhoolna mushkil hey
Lekin kya kuch namumkin hey? 

Chalo phir say ik aaghaz karain
Ik sath nayi parwaaz karain

Jahan koi purana zakhm na ho
Hum khul key Dil ki baat karain

Kya rakha hay naraazi men
Ik doojay ki barbadi men

Is Saal ki Jo shuru'aat karain
Aao sab phir say sath karain

Meray guzray din lota do mujhey
Ya phir fehrist say mita do mujhey

Yeh beech ka dukh na sehna hay
Hum ko to sath men rehna hay

Sab pichlay gham bhula do na
Meray dost wapas la do na

Us khata ko ab simta do na
Sab key dilon ko mila do na

Aaye na kabhi phir waqt kabhi
Tootay na kabhi phir rabt kabhi

Woh waqt key jub hum bikhar gaye
Meray dost yoon mujh say mukar gaye

-Aakif Hassan, 1st Jan 2020


No comments:

Post a Comment