Wednesday, December 4, 2013

December aur us key sard hath....



 
December ki thandi Raton men akser
Us key sard hath bara yaad Aatay hen

Lakh bhulaun un lamhon ko barson
Her saal issi mosam men loat Aatay hen

Yakh hawa key woh taiz thapairay
Meray galon pay ab bhi saaz bajatay hen

Woh bhi kerta hoga yaad her barish key sath mujhey
Ya Badal us key ghar say garaj key guzar jatay hen

Sath dekhay humain dunya ko Ik arsa hua
Mohallay wallay humaray qisay ab bhi sunatay hen

Dastaan Yoon to Bari ghamgeen hey judai ki apni
Zamanay walay kahani Bari pur lutf batatey hen

Ku aa jata hay bar bar yeh December!!!
Woh beetay lamhay humain her saal rulatay hen

Ja aey sard maheenay, ab tujh say khaffa hen hum
Siskiyan bhar bhar key Raat bhar khud ko sulatay hen

Chalo tham lo ab bewafa tum garm hath meray
Jhoota hi sahi , Kuch dair tum ko behlatay hen

Kahani mukhtasir her mosam ki buss itni hi hay
Juda ho key bhi hum Kuch dair ko pass Aatay hen

December ki thandi raton men akser
Us key sard hath bara yaad Aatay hen.. bara yaad Aatay hen
 

No comments:

Post a Comment