Friday, December 14, 2012

Azaad nazm!!! December

Azaad nazm!!!
Meri yadon say koi dushmani hay shayad
Her saal December men satanay aati hen


Woh sard ratain, Woh shaam ki khushboo
Mujhey phir sey rulanay aati hen


Magar men nay bhi ab ki bar hay socha
Men in yadon sey dosti ker loon ga..

Her saal ab udaas na hon ga men
Her gham ko apnay khushi ker loon ga..


Ab ki baar Jo phir say aaye ga December
Ansoun ko apnay hansi ker loon ga


Keh do December ja key un yadon say
Ab key na aayen mujhey satanay
 

Yoon guzray dinon key gham ab batanay
Men nay ghamon sey dosti ker li hay
Bohat haseen apni zindagi ker li hay


Ab key Jo bhi aaye ga saal maheena
Dekhay ga mujh ko udaas kabhi na

Buss hansta miloon ga men her gham bhula key
 

Sabhi dooryon ko galay say laga key
Men her shaam hi khilkilata miloon ga
Chaman key her phool sey khushboo chura key

Ab key na chunoon ga ghalat hamsafar men 
Khushi sey qadam ab mila key chaloon ga

Jo ho Doston ki mujhey gar zaroorat
Hath dosti sey Mila key chaloon ga


Ab key Jo aaye ga agla December
Men ussey zindagi key raastay pay miloon ga


Chalo ab December mujhey do ijazat
Na kerna ab key tum yeh himaqat


Na ley key aana ab key Woh gusto yaden
Ab key hum karain gay buss pyari batain

Yeh purlutf mosam ki haseen ratain
Chalo aao mil key khushyan banten