Sunday, June 24, 2012

Random Poetry Conversations

each one of the below are written by me and every two lines is a separate couplet :D 

Date 24-th June 2012, 22:30 - 23:30
 

kuch dil ka haal suna do, kuch pyaar ki baat bata do
bht din sey men akela hoon, koi umeed ka deep jala do
-----------------------------------------------------------
chalo aaj dil ko hi dil ka haal suna do
is tanha sey weeraney men aaj andhera bht hey
-----------------------------------------------------------
kuch log kabhi sath hon , men shairi kerta hoon
unhi k dilon ka haal, un key samney likhta hoon
-----------------------------------------------------------
ho key mashoor meray alfaz sey mujhey tanha chor gaya
woh ik shakhs jis key honay pay khud ko maan bht tha
-----------------------------------------------------------
pyaar to hey mujhey us sey , magar aur tarah ka
jaisey nibhati hey tanhai, koi sath nahi deta
-----------------------------------------------------------
tanha akela thaka hara chala ja raha hoon
aik tanhai ka sahar hey key muskura raha hoon
-----------------------------------------------------------


Yeh sharmindagi itni sehal nahi mitana
Abhi waqt key marham ko bhi waqt lagay ga
-----------------------------------------------------------

khayal sey kya sawal poochoon, khayal kaisey aata hey
woh to buss aa jata hey bina bataye meri tanhai mitanay
-----------------------------------------------------------
woh aik shakhs mila to phir sey adhoora ker gaya
jis sey milney ki sadyon sey hasrat bht thi
-----------------------------------------------------------

chalo kissi bahaney hi sahi, woh muskuraye to
jami thi honton pey jin key udasi kayi roz sey
-----------------------------------------------------------

muskaan men ney hi di, to chalo udhar sahi
kabhi mujhey udas dekho to lota dena
-----------------------------------------------------------
meray barey men na sahi, magar sochna zaroor
tum ik shakhs meray jaisa hi yaad aaye ga
-----------------------------------------------------------
ungliyon ki por sey, socho ki dor sey
men likhta ja raha hoon sabhi khayal apnay
-----------------------------------------------------------
chalo phir sey juda honay ka bahana dhoondain
maza yoon roz milney men ab nahi aata
-----------------------------------------------------------
aaj sochon ko meri ik naya naam dey diya
mujhey phir sey shair honay ka ilzam dey diya
-----------------------------------------------------------
 hum kaisey bichar jayen , zara tum hi bata do 
sadyon baad to miley hen deewanay do 
 -----------------------------------------------------------
kash men tumhara yahan naam likh pata
mera buss nahi chalta, tu badnaam na ho jaye

No comments:

Post a Comment