Wednesday, April 25, 2012

Badaltey dekhey hen

yaqeen karain bhi to kis per karain aakhir
hum ney logon key imaan badaltey dekhey hen

mazi ki yaad men jeenay walon hosh men aao
hum ney waqt key halaat badaltey dekhey hen

gilla karain kissi sey to kyun ker karain aakhir
hum ney bay hissi key aamaal badaltey dekhey hen

hiddat sey pighal jatey hen pathar bhi akser
hum ney kaheen pathar dil bhi pighaltey dekhey hen

hikmat yeh hi hey key bhool jo aagay berho
hum ney mustaqbil key kayee saal badaltey dekhey hen

badal key khud ko bhi dekha,magar dil na badla
hum ney sachay dil walley chaal badaltey dekhey hen

chalo maaf kertey hen sab khataon ko un ki
hum ney zindagi key kayee mor badaltey dekhey hen

faida kuch bhi nahi ab aanso bahaney sey
hum ney musafaton key ahwal badaltey dekhey hen

aakhir ko kat hi jata hey waqt tanhai key sath
hum ney tanhai men apney kayee saal badaltey dekhey hen


No comments:

Post a Comment